Assalam- u -Allaikum! Hello Sir Faisal, My English not too good that's why i write my e-mail in roman Urdu. Sir main aap ka show "ANKAHI" kafi arsay se dhek raha hoon. Bahut hi accha show hota hai aap ka. Khaas toor pe aap ka bolnay ka andaaz. Know a days aap ka jo show chal raha hai about pakistani thinking k opper tu sir us ki main wajah yeh hai k hum ik dosray se jaltay hain. mujhay abbhi tak aap ki woh baat yaad hai jo aap nay "gainday" wali ki thi."aik yahan k gainday hain aur aik pakistani gainday hain" ;) Q: Hum kiun kisi aur country main jaakay apni Zameen ki burai kertay hai??? Ans: Main samajhta hoon jab baccha duniyan main aata hai tu woh bilkul koora kaghaz hota hai. Maan baap us kaghaz ka kalm hotay hain jaisi tehreer woh uss kaghaz pe likhtay hai woh bada hokar waisi hi daastan duniya ko sunata hai. Saara daromadaar hamari tarbiat-o-parvarish pe hota hai, aas paas k mahool pe hota hai. Asal main hum abbhi aik watan main reh tu rahain laikin us watan ka maqsad us ka culture us ki theme kia hai, pakistan bannay ki wajah kia thi? Hum woh bhool chukay hain isliye humain sharam mehsoos hoti hai yeh kehtay huaye k "We are Pakistani". Hamara media chahay tu iss sooch ko tabdeel ker sakta hai aur jo hum pakistan se dhoor hogaye hain bohut ziada tu uss main bhi kaamaal hai media ka. Bye Sir Take Care
--~--~---------~--~----~------------~-------~--~----~ You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Loose Ends Pakistan" group. To post to this group, send email to looseendspakistan@googlegroups.com To unsubscribe from this group, send email to [EMAIL PROTECTED] For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/looseendspakistan?hl=en -~----------~----~----~----~------~----~------~--~---